ab is sada kahani ko naya ek moD dena tha
zara si baat par ahd-e-wafa hi toD dena tha
mahakta tha badan har waqt jis ke lams-e-KHush-bu se
wahi gul-dasta dahliz-e-KHizan par chhoD dena tha
shikast-e-saz-e-dil ka umr bhar matam bhi kya karte
ki ek din hanste hanste saz-e-jaan hi toD dena tha
safar mein har qadam rah rah ke ye taklif hi dete
bahar-surat hamein in aablon ko phoD dena tha
ghalat-fahmi ke jhonkon se bikhar kar rah gae aaKHir
lahu ki aanch mein TuTe dilon ko joD dena tha
wo jis pe zikr hai qaul-o-qasam aur ahd-o-paiman ka
kitab-e-zindagi ke is waraq ko moD dena tha
banaya hi nahin hum ne kabhi ye soch kar 'anjum'
ki gautam ki tarah ek din hamein ghar chhoD dena tha
Ghazal
Ab is sada kahani ko naya ek moD dena tha
Anjum Irfani