ab adhure ishq ki takmil hi mumkin nahin
kya karen paigham ki tarsil hi mumkin nahin
kya use samjhaun kaghaz par lakiren khinch kar
jazba-e-benam ki tashkil hi mumkin nahin
aise mausam mein bhi sharh-e-dil kiye jata hun main
jab ki is ijmal ki tafsil hi mumkin nahin
kis jagah ungli rakhun kis harf ko kaise paDhun
aayat-e-imkan teri tartil hi mumkin nahin
tohmat-e-ruswai kaise ishq par rakhta koi
aise kaamon mein to aisi Dhil hi mumkin nahin
kunj-e-nisyan mein paDe dhundla gae us ke nuqush
ab to us KHush-rang ki tamsil hi mumkin nahin
aur bhi kuchh suraten ban jaengi ruswai ki
ishq mein 'tabish' faqat tazlil hi mumkin nahin
Ghazal
Ab adhure ishq ki takmil hi mumkin nahin
Abbas Tabish