aaya hai har chaDhai ke baad ek utar bhi
pasti se ham-kanar mile kohsar bhi
aaKHir ko thak ke baiTh gai ek maqam par
kuchh dur mere sath chali rahguzar bhi
dil kyun dhaDakne lagta hai ubhre jo koi chap
ab to nahin kisi ka mujhe intizar bhi
jab bhi sukut-e-sham mein aaya tera KHayal
kuchh der ko Thahar sa gaya aabshaar bhi
kuchh ho gaya hai dhup se KHakistari badan
kuchh jam gaya hai rah ka mujh par ghubar bhi
is faslon ke dasht mein rahbar wahi bane
jis ki nigah dekh le sadiyon ke par bhi
ai dost pahle qurb ka nashsha ajib tha
main sun saka na apne badan ki pukar bhi
rasta bhi wapsi ka kahin ban mein kho gaya
ojhal hui nigah se hirnon ki Dar bhi
kyun ro rahe ho rah ke andhe charagh ko
kya bujh gaya hawa se lahu ka sharar bhi
kuchh aql bhi hai bais-e-tauqir ai 'shakeb'
kuchh aa gae hain baalon mein chandi ke tar bhi
Ghazal
Aaya hai har chaDhai ke baad ek utar bhi
Shakeb Jalali