aata hai nazar anjam ki saqi raat guzarne wali hai
baqi hai KHuda ka nam ki saqi raat guzarne wali hai
KHurshid ko jam se sharmaenge sham ko tera wada tha
ifa-e-ahd-e-sham ki saqi raat guzarne wali hai
hum kitni pine wale hain tum kitni pilane wale ho
ye raaz hai tasht-az-baam ki saqi raat guzarne wali hai
ai rindo hath pe hath dhare kya saqi ka munh takte ho
mahfil mein mache kohram ki saqi raat guzarne wali hai
ye rah par aa hi jaega tu zahid se mayus na ho
uTh le ke KHuda ka nam ki saqi raat guzarne wali hai
ye barham hone wali mahfil yun bhi barham ho jati
hum kah ke hue badnam ki saqi raat guzarne wali hai
ab koi nahin sannaTa hai taron ki aankhen jhapki hain
chal sath mere do-gam ki saqi raat guzarne wali hai
Ghazal
Aata hai nazar anjam ki saqi raat guzarne wali hai
Zulfiqar Ali Bukhari