aashna hote hi us ishq ne mara mujh ko
na mila bahr-e-mohabbat ka kinara mujh ko
kyun mere qatl ko talwar barahna ki hai
tegh-e-abru ka to kafi hai ishaara mujh ko
KHud tere dam mein aaya koi afsun na chala
ai pari tu ne to shishe mein utara mujh ko
mere isa ka zara dekhna eajaz-e-KHiram
ek Thokar se mili umr dobara mujh ko
mane daulat-e-didar na ho ai girya
ruKH-e-mahbub ka karne de nazara mujh ko
dil mein ek gauhar-e-KHubi ki mohabbat ka hai josh
aaj-kal bhata hai dariya ka kinara mujh ko
Dam-dilase hi mein Tala kiye har roz aaKHir
sukhe ghaT ai gul-e-tar KHub utara mujh ko
naqd-e-jaan nazr karun tere phir ai qatil-e-KHalq
zinda kar de agar allah dobara mujh ko
phalw-e-yar ko ghairon se jo KHali paya
dil-e-betab ne kya kya na ubhaara mujh ko
main yahan muntazir-e-wada raha lekin wo
rah gae aur kahin de ke sahaara mujh ko
aaKHir insan hun patthar ka to rakhta nahin dil
ai buto itna satao na KHuda-ra mujh ko
apne begane se ab mujh ko shikayat na rahi
dushmani kar ke mere dost ne mara mujh ko
phande mein phans ke main us ke na hua phir jaan-bar
tar-e-gesu ne tere mar utara mujh ko
un ko sujha na zara past-o-buland ulfat
ghair se chiDh gae nazron se utara mujh ko
sadma-sohbat-e-aghyar na uThega kabhi
aur jo zulm karo sab hain gawara mujh ko
shad us se hon ki is qatil-e-alam ne KHud aaj
kah ke o aashiq-e-nashad pukara mujh ko
jaan di ishq mein us hur ke main ne jo 'qalaq'
qabr mein aa ke farishton ne utara mujh ko
Ghazal
Aashna hote hi us ishq ne mara mujhko
Arshad Ali Khan Qalaq