aashiyan jal gaya, gulsitan luT gaya, hum qafas se nikal kar kidhar jaenge
itne manus sayyaad se ho gae, ab rihai milegi to mar jaenge
aur kuchh din ye dastur-e-mai-KHana hai, tishna-kaami ke ye din guzar jaenge
mere saqi ko nazren uThane to do, jitne KHali hain sab jam bhar jaenge
ai nasim-e-sahar tujh ko un ki qasam, un se ja kar na kahna mera haal-e-gham
apne miTne ka gham to nahin hai magar, Dar ye hai un ke gesu bikhar jaenge
ashk-e-gham le ke aaKHir kidhar jaen ham, aansuon ki yahan koi qimat nahin
aap hi apna daman baDha dijiye, warna moti zamin par bikhar jaenge
kale kale wo gesu shikan-dar-shikan, wo tabassum ka aalam chaman-dar-chaman
khinch li un ki taswir dil ne mire, ab wo daman bacha kar kidhar jaenge
Ghazal
Aashiyan jal gaya, gulsitan luT gaya, hum qafas se nikal kar kidhar jaenge
Raaz Allahabadi