aashiq ki bhi kaTti hain kya KHub tarah raaten
do-chaar ghaDi rona do-chaar ghaDi baaten
qurban hun mujhe jis dam yaad aati hain wo baaten
kya din wo mubarak the kya KHub thin wo raaten
auron se chhuTe dilbar dil-dar howe mera
bar-haq hain agar pairaw kuchh tum mein karamaten
kal laD gain kuche mein aankhon se meri aankhiyan
kuchh zor hi aapas mein do do huin samghaten
kashmir si jagah mein na-shukr na rah zahid
jannat mein tu ai gidi mare hai ye kyun laten
is ishq ke kuche mein zahid tu sambhal chalna
kuchh pesh na jawengi yan teri munajaten
us roz miyan mil kar nazron ko churaate the
tujh yaad mein hi sajan karte hain madaraaten
'sauda' ko agar puchho ahwal hai ye us ka
do-chaar ghaDi rona do-chaar ghaDi baaten
Ghazal
Aashiq ki bhi kaTti hain kya KHub tarah raaten
Sauda Mohammad Rafi