aashiq hain magar ishq numayan nahin rakhte
hum dil ki tarah chaak gareban nahin rakhte
sar rakhte hain sar mein nahin sauda-e-mohabbat
dil rakhte hain dil mein koi arman nahin rakhte
nafrat hai kuchh aisi unhen aashufta-saron se
apni bhi wo zulfon ko pareshan nahin rakhte
rakhne ko to rakhte hain KHabar sare jahan ki
ek mere hi dil ki wo KHabar han nahin rakhte
ghar kar gain dil mein wo mohabbat ki nigahen
un tiron ka zaKHmi hun jo paikan nahin rakhte
dil de koi tum ko to kis ummid par ab de
tum dil to kisi ka bhi meri jaan nahin rakhte
rahta hai nigahban mera un ka tasawwur
wo mujh ko akela shab-e-hijran nahin rakhte
dushman to bahut hazrat-e-naseh hain hamare
han dost koi aap sa nadan nahin rakhte
dil ho jo pareshan to dam bhar bhi na Thahre
kuchh bandh ke to gesu-e-pechan nahin rakhte
go aur bhi aashiq hain zamane mein bahut se
'beKHud' ki tarah ishq ko pinhan nahin rakhte
Ghazal
Aashiq hain magar ishq numayan nahin rakhte
Bekhud Dehlvi