aashiq-e-zulf-o-ruKH-e-dildar aankhen ho gain 
mubtala-e-kafir-o-dindar aankhen ho gain 
surKH palken ho gain KHun-bar aankhen ho gain 
dekh lo ab zaKHm-e-daman-dar aankhen ho gain 
dekh kar mahw-e-jamal-e-yar aankhen ho gain 
jam-ha-e-sharbat-e-didar aankhen ho gain 
aaiyo ai ashk ab bahne laga hai KHun-e-garam 
bhejiyo pani ki aatish-bar aankhen ho gain 
laD gain tum se jo aankhen ho gai ek bar sulh 
kijiye do-tin baaten chaar aankhen ho gain 
kashti-e-mai le ke ai saqi pahunch bahr-e-KHuda 
be tere mahfil mein dariya-bar aankhen ho gain 
hai tasawwur bas-ki aankhon mein KHat-e-ruKHsar ka 
aaine ki tarah jauhar-dar aankhen ho gain 
ai but-e-kafir hai bas be-aib zat allah ki 
lab tere isa hue bimar aankhen ho gain 
bah gain palken ba-rang-e-KHas meri ashkon ke sath 
ab to nazron mein gul-e-be-KHar aankhen ho gain 
chashm-e-baddur in ko gardish hai ajab andaz se 
ai pari aahu-e-KHush-raftar aankhen ho gain 
mere panw ki tarah haihat ab gardish mein hain 
kis ki ye warafta-e-raftar aankhen ho gain 
ain nadani hai ab un se jo rakhiye chashm-dasht 
shakl-e-mizhgan phir gain bezar aankhen ho gain 
laKHt-e-dil yaqut mein aansu hain moti aab-dar 
aao dekho jauhari bazar aankhen ho gain 
do to hain chashm-e-suKHan-go gar nahin hai ek dahan 
chup na rahiye qabil-e-guftar aankhen ho gain 
ishq-e-pinhan dida-e-giryan ne zahir kar diya 
hansne ki ja hai lab-e-izhaar aankhen ho gain 
ablaq-e-chashm-e-sanam kis naz se gardish mein hai 
KHub kawe hote hain rahwar aankhen ho gain 
har kisi ne aankh jab Dali gulu-e-saf par 
hans ke farmaya gale ka haar aankhen ho gain 
tol lete hain sada nazron mein jins-e-husn ko 
palla-e-mizan meri ai yar aankhen ho gain 
hai tasawwur roz-o-shab kis ki tilai rang ka 
chashm-e-nargis ki tarah zardar aankhen ho gain 
kahte ho sab dekhte hain teri aankhon se mujhe 
sach kaho aghyar ki bekar aankhen ho gain 
chaliye ab sahra se ku-e-yar unhen dikhlaiye 
aablon se panw mein do-chaar aankhen ho gain 
phul nargis ke banae kab wahan meamar ne 
ye hamari naqsh-bar-diwar aankhen ho gain 
ai KHuda shahid hamara summa-wajhullah hai 
jab nigah ki but pe tujh se chaar aankhen ho gain 
aap sa in ko banaya ishq-e-tir-e-yar ne 
hai siri tar-e-nigah sufar aankhen ho gain 
pesh-e-nargis hath phailae hain shaKHon se daraKHt 
kis ko dekhenge jo ab darkar aankhen ho gain 
chup khaDe hain ban gae hain naqsh-bar-diwar hum 
aao dekho rauzan-e-diwar aankhen ho gain 
saqi-o-mina-o-saghar ek aate hain nazar 
baada-e-wahdat se kya sarshaar aankhen ho gain 
rote rote hijr mein suje hain ye chashman-e-tar 
jism laghar ho gaya tayyar aankhen ho gain 
aashiq-e-abru hun karna dida-o-danista qatl 
jauharon se tujh mein ai talwar aankhen ho gain 
aankh ke Doron ne tere kuchh to hain dhage diye 
ai sanam jo mail-e-zunnar aankhen ho gain 
phir gaya wo aa ke ab jage to kya hasil 'wazir' 
so gae jab baKHt tab bedar aankhen ho gain
        Ghazal
Aashiq-e-zulf-o-ruKH-e-dildar aankhen ho gain
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi

