aarzu wasl ki rakhti hai pareshan kya kya
kya bataun ki mere dil mein hain arman kya kya
gham azizon ka hasinon ki judai dekhi
dekhen dikhlae abhi gardish-e-dauran kya kya
un ki KHushbu hai fazaon mein pareshan har su
naz karti hai hawa-e-chamanistan kya kya
dasht-e-ghurbat mein rulate hain hamein yaad aa kar
ai watan tere gul o sumbul o raihan kya kya
ab wo baaten na wo raaten na mulaqaten hain
mahfilen KHwab ki surat huin viran kya kya
hai bahaar-e-gul-o-lala mere ashkon ki numud
meri aankhon ne khilae hain gulistan kya kya
hai karam un ke sitam ka ki karam bhi hai sitam
shikwe sun sun ke wo hote hain pasheman kya kya
gesu bikhre hain mere dosh pe kaise kaise
meri aankhon mein hain aabaad shabistan kya kya
waqt-e-imdad hai ai himmat-e-gustaKHi-e-shauq
shauq-angez hain un ke lab-e-KHandan kya kya
sair-e-gul bhi hai hamein bais-e-wahshat 'aKHtar'
un ki ulfat mein hue chaak gareban kya kya
Ghazal
Aarzu wasl ki rakhti hai pareshan kya kya
Akhtar Shirani