aao be-parda tumhein jalwa-e-pinhan ki qasam
hum na chheDenge hamein zulf-e-pareshan ki qasam
chaak-e-daman ki qasam chaak-e-gareban ki qasam
hansne wale tujhe is haal-e-pareshan ki qasam
mere arman se waqif nahin sharmaenge aap
aap kyun khate hain nahaq mere arman ki qasam
nind aae na kabhi tujh se bichhaD kar zalim
apni aankhon ki qasam tere shabistan ki qasam
lab-e-jaanan pe fida aariz-e-jaanan ke nisar
sham-e-rangin ki qasam subh-e-daraKHshan ki qasam
aaj tak subh-e-watan yaad hai hum ko 'aKHtar'
dard-e-hijran ki qasam sham-e-ghariban ki qasam
Ghazal
Aao be-parda tumhein jalwa-e-pinhan ki qasam
Akhtar Shirani