aao ab mil ke gulistan ko gulsitan kar den
har gul-o-lala ko raqsan o ghazal-KHwan kar den
aql hai fitna-e-bedar sula den is ko
ishq ki jins-e-giran-maya ko arzan kar den
dast-e-wahshat mein ye apna hi gareban kab tak
KHatm ab silsila-e-chaak-e-gareban kar den
KHun-e-adam pe koi harf na aane pae
jinhen insan nahin kahte unhen insan kar den
daman-e-KHak pe ye KHun ke chhinTe kab tak
inhin chhinTon ko bahisht-e-gul-o-raihan kar den
mah o anjum bhi hon sharminda-e-tanwir 'majaz'
dasht-e-zulmat mein ek aisa charaghan kar den
Ghazal
Aao ab mil ke gulistan ko gulsitan kar den
Asrar-ul-Haq Majaz