aankhon se KHwab dil se tamanna tamam-shud
tum kya gae ki shauq-e-nazara tamam-shud
kal tere tishnagan se ye kya moajaza hua
dariya pe honT rakkhe to dariya tamam-shud
duniya to ek barf ki sil se siwa na thi
pahunchi dukhon ki aanch to duniya tamam-shud
shahr-e-dil-e-tabah mein pahunchun to kuchh khule
kya bach gaya hai rakh mein aur kya tamam-shud
ushshaq par ye ab ke ajab waqt aa paDa
majnun ke dil se hasrat-e-laila tamam-shud
hum shahr-e-jaan mein aaKHiri naghma suna chale
samjho ki ab hamara tamasha tamam-shud
ek yaad-e-yar hi to pas-andaz hai 'hasan'
warna wo kar-e-ishq to kab ka tamam-shud
Ghazal
Aankhon se KHwab dil se tamanna tamam-shud
Hasan Abbas Raza