aankhon se haya Tapke hai andaz to dekho
hai bul-hawason par bhi sitam naz to dekho
us but ke liye main hawas-e-hur se guzra
is ishq-e-KHush-anjam ka aaghaz to dekho
chashmak meri wahshat pe hai kya hazrat-e-naseh
tarz-e-nigah-e-chashm-e-fusun-saz to dekho
arbab-e-hawas haar ke bhi jaan pe khele
kam-talai-e-ashiq-e-jaan-baz to dekho
majlis mein mere zikr ke aate hi uThe wo
badnami-e-ushshaq ka eazaz to dekho
mahfil mein tum aghyar ko duz-dida nazar se
manzur hai pinhan na rahe raaz to dekho
us ghairat-e-nahid ki har tan hai dipak
shoala sa lapak jae hai aawaz to dekho
den paki-e-daman ki gawahi mere aansu
us yusuf-e-bedard ka eajaz to dekho
jannat mein bhi 'momin' na mila hae buton se
jaur-e-ajal-e-tafraqa-pardaz to dekho
Ghazal
Aankhon se haya Tapke hai andaz to dekho
Momin Khan Momin