aankhon mein ek KHwab pas-e-KHwab aur hai
ek mauj-e-tund-o-tez tah-e-ab aur hai
un se bhi meri dosti un se bhi ranjishen
sine mein ek halqa-e-ahbab aur hai
shayad kabhi khule ye mere naghmagar pe bhi
ye saz-e-jism aur hai mizrab aur hai
chaliye kahin zamin ki kashish kuchh to kam hui
KHushki pe jism aur tah-e-ab aur hai
phir aa na jae lauT ke ye zalzala abhi
jo aa ke tham gaya tha wo sailab aur hai
is aaine pe gard ke chehre miTa ke bhi
miTTi ka ek naqsh pas-e-ab aur hai
itni siyah-raat mein itni si raushni
ye chand wo nahin mera mahtab aur hai
Ghazal
Aankhon mein ek KHwab pas-e-KHwab aur hai
Saud Usmani