aankhon ka tha qusur na dil ka qusur tha
aaya jo mere samne mera ghurur tha
tarik misl-e-ah jo aankhon ka nur tha
kya subh hi se sham-e-bala ka zuhur tha
wo the na mujh se dur na main un se dur tha
aata na tha nazar to nazar ka qusur tha
har waqt ek KHumar tha har dam surur tha
botal baghal mein thi ki dil-e-na-subur tha
koi to dardmand-e-dil-e-na-subur tha
mana ki tum na the koi tum sa zarur tha
lagte hi Thes TuT gaya saz-e-arzu
milte hi aankh shisha-e-dil chur chur tha
aisa kahan bahaar mein ranginiyon ka josh
shamil kisi ka KHun-e-tamanna zarur tha
saqi ki chashm-e-mast ka kya kijiye bayan
itna surur tha ki mujhe bhi surur tha
palTi jo raste hi se ai aah-e-na-murad
ye to bata ki bab-e-asar kitni dur tha
jis dil ko tum ne lutf se apna bana liya
us dil mein ek chhupa hua nashtar zarur tha
us chashm-e-mai-farosh se koi na bach saka
sab ko ba-qadr-e-hausla-e-dil surur tha
dekha tha kal 'jigar' ko sar-e-rah-e-mai-kada
is darja pi gaya tha ki nashshe mein chur tha
Ghazal
Aankhon ka tha qusur na dil ka qusur tha
Jigar Moradabadi