aankh uThai hi thi ki khai choT
bach gai aankh dil pe aai choT
dard-e-dil ki unhen KHabar kya ho
jaanta kaun hai parai choT
aai tanha na KHana-e-dil mein
dard ko apne sath lai choT
tegh thi hath mein na KHanjar tha
us ne kya jaane kya lagai choT
yun na qatil ko jab yaqin aaya
hum ne dil khol kar dikhai choT
aur kya karte hum bala-kash-e-gham
jo paDi dil pe wo uThai choT
kahin chhupti bhi hai lagi dil ki
lakh 'fani' ne go chhupai choT
Ghazal
Aankh uThai hi thi ki khai choT
Fani Badayuni