اردو हिंदी
Aankh dikhlane laga hai wo fusun-saz mujhe | Shaahi Shayari
aankh dikhlane laga hai wo fusun-saz mujhe

Ghazal

Aankh dikhlane laga hai wo fusun-saz mujhe

Yagana Changezi

;

aankh dikhlane laga hai wo fusun-saz mujhe
kahin ab KHak na chhanwae ye andaz mujhe

kaise hairan the tum aaine mein jab aankh laDi
aaj tak yaad hai is ishq ka aaghaz mujhe

samne aa nahin sakte ki hijab aata hai
parda-e-dil se sunate hain wo aawaz mujhe

tiliyan toD ke nikle sab asiran-e-qafas
magar ab tak na mili ruKHsat-e-parwaz mujhe

par katar de are sayyaad chhuri pherna kya
mar Dalegi yunhi hasrat-e-parwaz mujhe

zer-e-diwar-e-sanam qabr mein sota hun falak
kyun na ho tala-e-bedar par ab naz mujhe

be-dhaDak aae na zindan mein nasim-e-wahshat
mast kar deti hai zanjir ki aawaz mujhe

parda-e-hijr wahi hasti-e-mauhum thi 'yas'
sach hai pahle nahin malum tha ye raaz mujhe