aane wali kal ki de kar KHabar gaya ye din bhi 
mah-e-visal ki shiryanon mein utar gaya ye din bhi 
lamha lamha saat saat pal pal mein taqsim hua 
reza reza hote hote bikhar gaya ye din bhi 
us ki tabani par kitne hi suraj qurban hue 
apne hone ka dukh sah kar magar gaya ye din bhi 
sard hawa ka jhonka tha jo sannaTo ko chir gaya 
kitne dilon par dastak de kar guzar gaya ye din bhi 
hum to apni nindon mein KHwabon ko jaga kar KHwar hue 
mauj-e-sarab mein Dhal kar jaane kidhar gaya ye din bhi
        Ghazal
Aane wali kal ki de kar KHabar gaya ye din bhi
Asrar Zaidi

