aane wale jaane wale har zamane ke liye
aadmi mazdur hai rahen banane ke liye
zindagi firdaus-e-gum-gashta ko pa sakti nahin
maut hi aati hai ye manzil dikhane ke liye
meri peshani pe ek sajda to hai likkha hua
ye nahin malum hai kis aastane ke liye
un ka wada aur mujhe us par yaqin ai ham-nashin
ek bahana hai taDapne tilmilane ke liye
jab se pahra zabt ka hai aansuon ki fasl par
ho gain muhtaj aankhen dane dane ke liye
aaKHiri ummid waqt-e-naza un ki did thi
maut ko bhi mil gaya fiqara na aane ke liye
allah allah dost ko meri tabahi par ye naz
su-e-dushman dekhta hai dad pane ke liye
neamat-e-gham mera hissa mujh ko de de ai KHuda
jama rakh meri KHushi sare zamane ke liye
nusKHa-e-hasti mein ibrat ke siwa kya tha 'hafiz'
surKHiyan kuchh mil gain apne fasane ke liye
Ghazal
Aane wale jaane wale har zamane ke liye
Hafeez Jalandhari