aana bhi aane wale ka afsana ho gaya
dushman ke kahne sunne se kya kya na ho gaya
kya faizyab sohbat-e-rindana ho gaya
dam-bhar mein shaiKH saqi-e-mai-KHana ho gaya
sunte hain band phir dar-e-mai-KHana ho gaya
dur ayagh-o-shaghl-e-mul afsana ho gaya
milne ke baad baiTh raha pher kar nigah
zalim yagana hote hi begana ho gaya
apnon se bhi ziyaada jo paya niyaz-mand
wo be-niyaz aur bhi begana ho gaya
na-ashna raha to yagana bana raha
hote hi aashna koi begana ho gaya
mana ki muddai se koi muddaa na tha
phir kya sabab tha tark jo yarana ho gaya
kis tarah apni KHana-KHarabi ayan kare
wo dil jo parde walon ka kashana ho gaya
aane ka wada kar ke wo hanste hue chale
malum abhi se lutf-e-qadimana ho gaya
jaan is dilawari se tere manchale ne di
maqtal mein shor-e-himmat-e-mardana ho gaya
phir bhi sawal-e-wasl ka mauqa nahin mila
sau bar go kalam-e-kalimana ho gaya
wo dil-jala tha main ki teri sham-e-husn par
jal kar nisar surat-e-parwana ho gaya
majnun jo ban gaya kisi laila-ada ka main
phir kya tha najd KHud mera virana ho gaya
gesu banae jaiye aap apne shauq se
ho jaane dijiye jo main diwana ho gaya
pi li 'hijab' hath hi se aaj main ne mai
chullu mera mere liye paimana ho gaya

Ghazal
Aana bhi aane wale ka afsana ho gaya
Anwari Jahan Begum Hijab