aalam-e-rozgar ko aasan bana diya
jo gham hua use gham-e-jaanan bana diya
main kaamyab-e-did bhi mahrum-e-did bhi
jalwon ke izhdiham ne hairan bana diya
yun muskurae jaan si kaliyon mein paD gai
yun lab-kusha hue ki gulistan bana diya
kuchh shorishon ki nazr hua KHun-e-ashiqan
kuchh jam ke rah gaya use hirman bana diya
ai shaiKH wo basit haqiqat hai kufr ki
kuchh qaid-e-rasm ne jise iman bana diya
kuchh aag di hawas mein to tamir-e-ishq ki
jab KHak kar diya use irfan bana diya
kya kya quyud dahr mein hain ahl-e-hosh ke
aisi faza-e-saf ko zindan bana diya
ek barq thi zamir mein fitrat ke maujzan
aaj us ko husn o ishq ka saman bana diya
majburi-e-hayat mein raaz-e-hayat hai
zindan ko main ne rauzan-e-zindan bana diya
wo shorishen nizam-e-jahan jin ke dam se hai
jab muKHtasar kiya unhen insan bana diya
hum us nigah-e-naz ko samjhe the neshtar
tum ne to muskura ke rag-e-jaan bana diya
bulbul ba-ah-o-nala wa gul mast-e-rang-o-bu
mujh ko shahid-e-rasm-e-gulistan bana diya
kahte hain ek fareb-e-musalsal hai zindagi
us ko bhi waqf-e-hasrat-o-hirman bana diya
aalam se be-KHabar bhi hun aalam mein bhi hun main
saqi ne is maqam ko aasan bana diya
us husn-e-karobar ko maston se puchhiye
jis ko fareb-e-hosh ne isyan bana diya
Ghazal
Aalam-e-rozgar ko aasan bana diya
Asghar Gondvi