aaKHir wo iztirab ke din bhi guzar gae
jab dil-e-harif-e-atish-e-qahr-o-itab tha
jaan doston ki chaaragari se labon pe thi
sar dushmanon ki sang-zani se azab tha
daman-e-sagan ku-e-mohabbat se tar tar
chehra KHarash-e-dast-e-junun se KHarab tha
wan e'timad-e-mashq-e-siyasat ki had na thi
yan e'tibar-e-nala-e-dil be-hisab tha
har baat sufiyon ki tarah pech-o-KHam liye
har lafz shairon ki tarah intiKHab tha
har jalwa ek daftar aashob-e-rozgar
har ghamza ilm-e-fitna-gari ki kitab tha
KHwabida har nazar mein banae fasad-e-KHalq
poshida har rawish mein naya inqalab tha
aaj is ghazal mein hum pe qayamat guzar gai
kya garmi-e-KHayal thi kya iltihab tha

Ghazal
AaKHir wo iztirab ke din bhi guzar gae
Varis Kirmani