aaj yun mauj-dar-mauj gham tham gaya is tarah gham-zadon ko qarar aa gaya
jaise KHush-bu-e-zulf-e-bahaar aa gai jaise paigham-e-didar-e-yar aa gaya
jis ki did-o-talab wahm samjhe the hum ru-ba-ru phir sar-e-rahguzar aa gaya
subh-e-farda ko phir dil tarasne laga umr-e-rafta tera e'tibar aa gaya
rut badalne lagi rang-e-dil dekhna rang-e-gulshan se ab haal khulta nahin
zaKHm chhalka koi ya koi gul khila ashk umDe ki abr-e-bahaar aa gaya
KHun-e-ushshaq se jam bharne lage dil sulagne lage dagh jalne lage
mahfil-e-dard phir rang par aa gai phir shab-e-arzu par nikhaar aa gaya
sarfaroshi ke andaz badle gae dawat-e-qatl par maqtal-e-shahr mein
Dal kar koi gardan mein tauq aa gaya lad kar koi kandhe pe dar aa gaya
'faiz' kya jaaniye yar kis aas par muntazir hain ki laega koi KHabar
mai-kashon par hua mohtasib mehrban dil-figaron pe qatil ko pyar aa gaya
Ghazal
Aaj yun mauj-dar-mauj gham tham gaya is tarah gham-zadon ko qarar aa gaya
Faiz Ahmad Faiz