aaj to be-sabab udas hai ji
ishq hota to koi baat bhi thi
jalta phirta hun main dopahron mein
jaane kya chiz kho gai meri
wahin phirta hun main bhi KHak-basar
is bhare shahr mein hai ek gali
chhupta phirta hai ishq duniya se
phailti ja rahi hai ruswai
ham-nashin kya kahun ki wo kya hai
chhoD ye baat nind uDne lagi
aaj to wo bhi kuchh KHamosh sa tha
main ne bhi us se koi baat na ki
ek dam us ke honT chum liye
ye mujhe baiThe baiThe kya sujhi
ek dam us ka hath chhoD diya
jaane kya baat darmiyan aai
tu jo itna udas hai 'nasir'
tujhe kya ho gaya bata to sahi
Ghazal
Aaj to be-sabab udas hai ji
Nasir Kazmi