aaj phir dhup ki shiddat ne baDa kaam kiya
hum ne is dasht ko lamhon mein kanwal-fam kiya
mere hujre ko bhi tashhir mili us ke sabab
aur aandhi ne bhi is bar bahut nam kiya
roz hum jalti hui ret pe chalte hi na the
hum ne sae mein khajuron ke bhi aaram kiya
dil ki banhon mein sajate rahe aahon ki dhanak
zehn ko hum ne rah-e-ishq mein gum-nam kiya
shahr mein rah ke ye jangal ki ada bhul gae
hum ne in shoKH ghazalon ko abas ram kiya
apne pairon mein bhi bijli ki adaen thin magar
dekh kar tur-e-jahan KHud ko subuk-gam kiya
shah-rahon pe hamin to nahin maslub hue
qatl-e-mahtab ne KHud ko bhi lab-e-baam kiya
jaane kya soch ke phir in ko rihai de di
hum ne ab ke bhi parindon ko tah-e-dam kiya
KHatm ho gi ye kaDi dhup bhi 'amabar' dekho
ek kohsar ko mausam ne gul-andam kiya
Ghazal
Aaj phir dhup ki shiddat ne baDa kaam kiya
Ambar Bahraichi