aaj lab-e-guhar-fishan aap ne wa nahin kiya
tazkira-e-KHajista-e-ab-o-hawa nahin kiya
kaise kahen ki tujh ko bhi hum se hai wasta koi
tu ne to hum se aaj tak koi gila nahin kiya
jaane teri nahin ke sath kitne hi jabr the ki the
main ne tere lihaz mein tera kaha nahin kiya
mujh ko ye hosh hi na tha tu mere bazuon mein hai
yani tujhe abhi talak main ne riha nahin kiya
tu bhi kisi ke bab mein ahd-shikan ho ghaaliban
main ne bhi ek shaKHs ka qarz ada nahin kiya
han wo nigah-e-naz bhi ab nahin majra-talab
hum ne bhi ab ki fasl mein shor bapa nahin kiya
Ghazal
Aaj lab-e-guhar-fishan aapne wa nahin kiya
Jaun Eliya