اردو हिंदी
Aaj dil hai ki sar-e-sham bujha lagta hai | Shaahi Shayari
aaj dil hai ki sar-e-sham bujha lagta hai

Ghazal

Aaj dil hai ki sar-e-sham bujha lagta hai

Ezaz Afzal

;

aaj dil hai ki sar-e-sham bujha lagta hai
ye andhere ka musafir bhi thaka lagta hai

apne bahke hue daman ki KHabar li na gai
jis ko dekho charaghon se KHafa lagta hai

bagh ka phul nahin lala-e-sahra hun main
lu ka jhonka bhi mujhe baad-e-saba lagta hai

tangi-e-zarf-e-nazar kasrat-e-nazzara-e-dahar
pyas kachchi ho to har jam bhara lagta hai

kis takalluf se girah khol raha hun dil ki
uqda-e-dard tera band-e-qaba lagta hai

KHar-zaron ko sikha de na gulistan ka chalan
ye musafir to koi aabla-pa lagta hai

dekh tu rauzan-e-zindan se zara su-e-chaman
aaj kyun dil ka har ek zaKHm hara lagta hai

kaun 'afzal' ke siwa aisi ghazal chheDega
dosto ye wahi aashufta-nawa lagta hai