اردو हिंदी
Aaina dekhen na hum aks hi apna dekhen | Shaahi Shayari
aaina dekhen na hum aks hi apna dekhen

Ghazal

Aaina dekhen na hum aks hi apna dekhen

zafar iqbal zafar

;

aaina dekhen na hum aks hi apna dekhen
jab bhi dekhen to hum apne ko akela dekhen

mom ke log kaDi dhup mein aa baiThe hain
aao ab un ke pighalne ka tamasha dekhen

tab ye ehsas hamein hoga ki ye KHwab hai sab
band aankhon ko karen KHwab ki duniya dekhen

baat karte hain to nashtar sa utar jata hai
ab wo lahje ki tamazat ka KHasara dekhen

tu ne nazren na milane ki qasam khai hai
aaina samne rakh kar tera chehra dekhen

koi bhi shai hasin lagti nahin jab tere siwa
ye bata shahr mein hum tere siwa kya dekhen

qatl aur KHun ke manazir hain jo basti basti
kaise insanon ki duniya ka tamasha dekhen

itna virani se rishta hai 'zafar' apna ab
KHwab ki duniya mein bhi sahra hi sahra dekhen