اردو हिंदी
Aaine ka munh bhi hairat se khula rah jaega | Shaahi Shayari
aaine ka munh bhi hairat se khula rah jaega

Ghazal

Aaine ka munh bhi hairat se khula rah jaega

Gulzar Bukhari

;

aaine ka munh bhi hairat se khula rah jaega
jo bhi dekhega tujhe wo dekhta rah jaega

hum ne sab kuchh taj diya teri rifaqat ke liye
tujh se bichhDe to hamare pas kya rah jaega

mil sakenge kis tarah KHwabon mein hum jab hijr se
nind ho jaegi ruKHsat ratjaga rah jaega

hum agar teri raza hasil nahin kar paenge
umr bhar hum se hamara dil KHafa rah jaega

jaane walon ki kami puri kabhi hoti nahin
aane wale aaenge phir bhi KHala rah jaega

murtaish aawaz ki lahren rahengi der tak
saz chup ho jaenge sail-e-sada rah jaega

'hir' ko 'gulzar' le jaenge kheDe ek din
bansuri par tu dhunen hi chheDta rah jaega