اردو हिंदी
Aaina dekh apna sa munh le ke rah gae | Shaahi Shayari
aaina dekh apna sa munh le ke rah gae

Ghazal

Aaina dekh apna sa munh le ke rah gae

Mirza Ghalib

;

aaina dekh apna sa munh le ke rah gae
sahab ko dil na dene pe kitna ghurur tha

qasid ko apne hath se gardan na mariye
us ki KHata nahin hai ye mera qusur tha

zof-e-junun ko waqt-e-tapish dar bhi dur tha
ek ghar mein muKHtasar bayaban zarur tha

ai wae-ghaflat-e-nigah-e-shauq warna yan
har para sang laKHt-e-dil-e-koh-e-tur tha

dars-e-tapish hai barq ko ab jis ke nam se
wo dil hai ye ki jis ka taKHallus subur tha

har rang mein jala 'asad'-e-fitna-intizar
parwana-e-tajalli-e-sham-e-zuhur tha

shayad ki mar gaya tere ruKHsar dekh kar
paimana raat mah ka labrez-e-nur tha

jannat hai teri tegh ke kushton ki muntazir
jauhar sawad-e-jalwa-e-mizhgan-e-hur tha