aahan mein Dhalti jaegi ikkiswin sadi
phir bhi ghazal sunaegi ikkiswin sadi
baghdad dilli masco london ke darmiyan
barud bhi bichhaegi ikkiswin sadi
jal kar jo rakh ho gain dangon mein is baras
un ghuggiyon mein aaegi ikkiswin sadi
tahzib ke libas utar jaenge janab
dollar mein yun nachaegi ikkiswin sadi
le ja ke aasman pe taron ke aas-pas
america ko giraegi ikkiswin sadi
ek yatra zarur ho ninnanwe ke pas
rath par sawar aaegi ikkiswin sadi
phir se KHuda banega koi naya jahan
duniya ko yun miTaegi ikkiswin sadi
compurteron se ghazlen likhenge 'bashir-badr'
'ghaalib' ko bhul jaegi ikkiswin sadi
Ghazal
Aahan mein Dhalti jaegi ikkiswin sadi
Bashir Badr