aah-o-fariyaad se mamur chaman hai ki jo tha
mail-e-jaur wahi charKH-e-kuhan hai ki jo tha
husn pabandi-e-adab-e-jafa par majbur
ishq aawara sar-e-koh-o-daman hai ki jo tha
lakh badla sahi mansur ka aain-e-hayat
aaj bhi silsila-e-dar-o-rasan hai ki jo tha
Dar ke chaunk uThti hain KHwabon se naweli kaliyan
KHanda-e-gul mein wahi saz-e-mehan hai ki jo tha
shabnam-afshani-e-gulshan hai dam-e-subh hanuz
lala-o-gul pe wo ashkon ka kafan hai ki jo tha
dil-e-be-tab pe mazi ki nawazish hai wahi
shab-e-mahtab pe yaadon ka gahan hai ki jo tha
hath rakh deta hai shane pe tasawwur un ka
gham ki raaton mein koi jalwa-figan hai ki jo tha
unhen kya fikr ki puchhen dil-e-bimar ka haal
be-niyazana wo andaz-e-suKHan hai ki jo tha
lakh badla sahi ai 'fauq' zamana lekin
tere andaz mein be-saKHta-pan hai ki jo tha
Ghazal
Aah-o-fariyaad se mamur chaman hai ki jo tha
Hanif Fauq