aag zaKHmon ki jala kar dekho
ji ko ek rog laga kar dekho
kitni masum hai rudad-e-hayat
KHud ko aaseb bana kar dekho
shikwa-e-nim-nigahi hai ghalat
phir to chehra hi mila kar dekho
kya kahen lafz-e-mohabbat hai garan
dil ke auraq uTha kar dekho
kitne chehre hain naqab-aluda
lau charaghon ki baDha kar dekho
apni bichhDi hui tanhai se
kyun na ek bar wafa kar dekho
bahti maujon ko qarar aa jae
naghma-e-dard suna kar dekho
kitne shaffaf hain yaadon ke badan
tum inhen hath laga kar dekho
dil ki jannat ko sukun kuchh to mile
dasht-o-sahra hi basa kar dekho
bistar-e-gul pe bahut raat gae
koi sota hai jaga kar dekho
un makanon mein makin koi nahin
waise zanjir hila kar dekho
nam apna bhi kahin hai ki nahin
mera diwan uTha kar dekho

Ghazal
Aag zaKHmon ki jala kar dekho
Meer Naqi Ali Khan Saqib