aae hain samjhane log 
hain kitne diwane log 
waqt pe kaam nahin aate hain 
ye jaane-pahchane log 
jaise hum in mein pite hain 
lae hain paimane log 
farzanon se kya ban aae 
hum to hain diwane log 
ab jab mujh ko hosh nahin hai 
aae hain samjhane log 
dair-o-haram mein chain jo milta 
kyun jate maiKHane log 
jaan ke sab kuchh kuchh bhi na jaanen 
hain kitne anjaane log 
jina pahle hi uljhan tha 
aur lage uljhane log
        Ghazal
Aae hain samjhane log
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

