aae hain 'mir' kafir ho kar KHuda ke ghar mein
peshani par hai qashqa zunnar hai kamar mein
nazuk badan hai kitna wo shoKH-chashm dilbar
jaan us ke tan ke aage aati nahin nazar mein
sine mein tir us ke TuTe hain be-nihayat
suraKH paD gae hain sare mere jigar mein
aainda sham ko hum roya kuDha karenge
mutlaq asar na dekha nalidan-e-sahar mein
be-sudh paDa rahun hun us mast-e-naz bin main
aata hai hosh mujh ko ab to pahr pahr mein
sirat se guftugu hai kya mo'tabar hai surat
hai ek sukhi lakDi jo bu na ho agar mein
ham-saya-e-mughan mein muddat se hun chunanche
ek shira-KHane ki hai diwar mere ghar mein
ab subh o sham shayad girye pe rang aawe
rahta hai kuchh jhamakta KHunab chashm-e-tar mein
aalam mein aab-o-gil ke kyunkar nibah hoga
asbab gir paDa hai sara mera safar mein
Ghazal
Aae hain mir kafir ho kar KHuda ke ghar mein
Mir Taqi Mir