اردو हिंदी
Aadab zindagi se bahut dur ho gaya | Shaahi Shayari
aadab zindagi se bahut dur ho gaya

Ghazal

Aadab zindagi se bahut dur ho gaya

Shahood Alam Aafaqi

;

aadab zindagi se bahut dur ho gaya
shohrat zara mili to wo maghrur ho gaya

ab raqs-e-KHak-o-KHun pe koi bolta nahin
jaise ye mere mulk ka dastur ho gaya

dushman se sarhadon ko bachana tha jis ka kaam
apnon ko qatl karne pe mamur ho gaya

gumnam tha libas-e-sharafat ki wajh se
dastar-e-makr bandhi to mashhur ho gaya

suraj bhi e'timad ke qabil nahin raha
aaya jo waqt-e-sham to be-nur ho gaya

nala jo bah raha tha mere ganw mein 'shahud'
dariya se mil gaya hai to maghrur ho gaya