aabaadiyon mein dasht ka manzar bhi aaega
guzroge shahr se to mera ghar bhi aaega
achchhi nahin nazakat-e-ehsas is qadar
shisha agar banoge to patthar bhi aaega
sairab ho ke shad na hon rah-rawan-e-shauq
raste mein tishnagi ka samundar bhi aaega
dair o haram mein KHak uDate chale chalo
tum jis ki justuju mein ho wo dar bhi aaega
baiTha hun kab se kucha-e-qatil mein sar-nigun
qatil ke hath mein kabhi KHanjar bhi aaega
sarshaar ho ke ja chuke yaran-e-mai-kada
saqi hamare nam ka saghar bhi aaega
is waste uThate hain kanTon ke naz hum
ek din to apne hath gul-e-tar bhi aaega
itni bhi yaad KHub nahin ahd-e-ishq ki
nazron mein tark-e-ishq ka manzar bhi aaega
rudad-e-ishq is liye ab tak na ki bayan
dil mein jo dard hai wo zaban par bhi aaega
jis din ki muddaton se hai 'naushad' justuju
kya jaane din hamein wo mayassar bhi aaega
Ghazal
Aabaadiyon mein dasht ka manzar bhi aaega
Naushad Ali