aa ki chahat wasl ki phir se baDi pur-zor hai
aa ki dil mein hasraton ne phir machaya shor hai
aa ki ab to dur tak KHushbu ki chadar bichh gai
aa ki ruKH baad-e-saba ka apne ghar ki or hai
aa ki phir se chand par dilkash jawani aa gai
aa ki phir se aaj-kal angDaiyon ka zor hai
aa ki kaliyon ke chaTaKHne ka wo mausam aa gaya
aa ki dil mein dhaDkanon ka ek anokha shor hai
aa ki jugnu kar rahe raaton mein tikhi raushni
aa ki phir se raqs mein kali ghaTa ghanghor hai
aa ki phir baadal tere aane ki dete hain KHabar
aa ki phir ab mastiyon mein apne man ka mor hai
aa ki ab to dam bhi hai jaise labon tak aa gaya
aa ki tere hath mein ab zindagi ki Dor hai
aa ki mausam ka asar 'azim' pe ab hone laga
aa ki taqat zabt ki ab ho chali kamzor hai
Ghazal
Aa ki chahat wasl ki phir se baDi pur-zor hai
Aazim Kohli