aa ke sajjada-nashin qais hua mere baad
na rahi dasht mein KHali koi ja mere baad
miyan mein us ne jo ki tegh-e-jafa mere baad
KHun-girafta koi kya aur na tha mere baad
dosti ka bhi tujhe pas na aaya he he
tu ne dushman se kiya mera gila mere baad
garm-bazari-e-ulfat hai mujhi se warna
koi lene ka nahin nam-e-wafa mere baad
munh pe le daman-e-gul roenge murghan-e-chaman
bagh mein KHak uDaegi saba mere baad
chaak isi gham se gareban kiya hai main ne
kaun kholega tere band-e-qaba mere baad
ab to hans hans ke lagata hai wo mehndi lekin
KHun rula dega use rang-e-hina mere baad
main to gulzar se dil-tang chala ghuncha-rawish
mujh ko kya phir jo koi phul khila mere baad
wo hawa-KHwah-e-chaman hun ki chaman mein har subh
pahle main jata tha aur baad-e-saba mere baad
sun ke marne ki KHabar yar mere ghar aaya
yani maqbul hui meri wafa mere baad
zabh kar ke mujhe nadim ye hua wo qatil
hath mein phir kabhi KHanjar na liya mere baad
meri hi zamzama-sanji se chaman tha aabaad
kiya sayyaad ne ek ek ko riha mere baad
aa gaya bich mein us zulf ki ek main nadan
na hua koi giraftar-e-bala mere baad
qatl to karte ho par KHub hi pachhtaoge
mujh sa milne ka nahin ahl-e-wafa mere baad
barg-e-gul lai saba qabr pe meri na nasim
phir gai aisi zamane ki hua mere baad
gir paDe aankh se us ki bhi yakayak aansu
zikr mahfil mein jo kuchh mera hua mere baad
zer-e-shamshir yahi soch hai maqtal mein mujhe
dekhiye ab kise lati hai qaza mere baad
shart-e-yari yahi hoti hai ki tu ne 'ghafil'
bhul kar bhi na mujhe yaad kiya mere baad
Ghazal
Aa ke sajjada-nashin qais hua mere baad
Munawar Khan Ghafil