aa ke jab KHwab tumhaare ne kaha bismillah
dil musafir thake-haare ne kaha bismillah
hijr ki raat mein jab dard ke bistar pe gira
shab ke bahte hue dhaare ne kaha bismillah
sham ka waqt tha aur naw thi sahil ke qarib
panw chhute hi kinare ne kaha bismillah
ajnabi shahr mein tha pahla paDaw mera
baam se jhuk ke sitare ne kaha bismillah
maut si sardi thi jab rakh mein Dala tha hath
ek nanhe se sharare ne kaha bismillah
laDkhaDae jo zara panw to ek shor hua
qafile sare ke sare ne kaha bismillah
na-KHuda chhoD gae bich bhanwar mein to 'zafar'
ek tinke ke sahaare ne kaha bismillah

Ghazal
Aa ke jab KHwab tumhaare ne kaha bismillah
Zafar Ajmi