aa jao ab to zulf pareshan kiye hue
hum rah par hain shama farozan kiye hue
mayus qalb hai teri aamad ka muntazir
dahliz par nigah ko chaspan kiye hue
ahd-e-wafa ko toD ke hum bhi hain muzmahil
tum bhi udhar ho chaak gareban kiye hue
aao to mere sahn mein ho jae raushni
muddat guzar gai hai charaghan kiye hue
baiThe hain tishna-kaam sar-e-rahguzar tamam
saqi teri sharab ka arman kiye hue
aa jao ki bahaar hai apne shabab par
'ibn-e-chaman' ke wasl ka saman kiye hue
Ghazal
Aa jao ab to zulf pareshan kiye hue
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman