اردو हिंदी
Aa jaen hum nazar jo koi dam bahut hai yan | Shaahi Shayari
aa jaen hum nazar jo koi dam bahut hai yan

Ghazal

Aa jaen hum nazar jo koi dam bahut hai yan

Mir Taqi Mir

;

aa jaen hum nazar jo koi dam bahut hai yan
mohlat hamein bisan-e-sharar kam bahut hai yan

yak lahza sina-kubi se fursat hamein nahin
yani ki dil ke jaane ka matam bahut hai yan

hasil hai kya siwae tarai ke dahr mein
uTh aasman tale se ki shabnam bahut hai yan

mail-ba-ghair hona tujh abru ka aib hai
thi zor ye kaman wale KHam-cham bahut hai yan

hum rah-rawan-e-rah-e-fana der rah chuke
waqfa bisan-e-subh koi dam bahut hai yan

is but-kade mein mani ka kis se karen sawal
aadam nahin hai surat-e-adam bahut hai yan

aalam mein log milne ki gon ab nahin rahe
har-chand aisa waisa to aalam bahut hai yan

waisa chaman se sada nikalta nahin koi
rangini ek aur KHam-o-cham bahut hai yan

ejaz-e-iswi se nahin bahas ishq mein
teri hi baat jaan mujassam bahut hai yan

mere halak karne ka gham hai abas tumhein
tum shad zindagani karo gham bahut hai yan

dil mat laga ruKH-e-araq-alud yar se
aaine ko uTha ki zamin nam bahut hai yan

shayad ki kaam subh tak apna khinche na 'mir'
ahwal aaj sham se darham bahut hai yan