aa gaya zulf ke dam mein dil-e-nadan apna
apne hathon se kiya haal pareshan apna
wo dikhate hain kise jalwa-e-pinhan apna
kya karen haal bayan musi-e-imran apna
ji uThe dekh ke hum kucha-e-jaanan ki bahaar
aankh ke samne tha chashma-e-haiwan apna
ishq mein hausla-e-zabt na ho kya mani
hai wo majnun jo kare chaak gareban apna
hae munh Dhank ke rone ki bhi surat na rahi
dasht mein chhin liya KHar ne daman apna
phul ke husn pe sarmast hain murghan-e-chaman
kis se afsana kahe bulbul-e-nalan apna
din ko hum baadiya-paimai kiya karte hain
bistar ab raat ko hai reg-e-bayaban apna
tum sambhaaloge to dil apna sambhal jaega
warna qabu nahin dil par shab-e-hijran apna
abhi kamsin ho shabab aaega aate aate
rang badlega abhi aalam-e-imkan apna
dekhne ke liye rahmat ke karishme hain bahut
kaun dekhega wahan nama-e-isyan apna
saf ruswai ke aasar nazar aate hain
kahne sunne mein nahin hai dil-e-nadan apna
yaad aane lagi yaran-e-watan ki sohbat
dasht-e-ghurbat mein hai allah nigahban apna
kaun hota hai musibat mein bashar ka hamdam
shab-e-furqat ke siwa kaun hai pursan apna
kyun mila hai hamein aaKHir ye kafan ka parda
maut ki aankh mein khaTka tan-e-uryan apna
dil koi chiz nahin teri mohabbat ke baghair
main to samjha tha gham-e-ishq ko mehman apna
baada-noshi se ye eazaz mila hai zahid
aap ko shaiKH samajhte hain musalman apna
aaj har qatre se aati hai anal-haq ki sada
ye dikhata hai asar KHun-e-shahidan apna
malak-ul-maut ki surat se main ghabraata hun
aap rakhte mujhe sharminda-e-ehsan apna
daur-e-saghar mein nazar aae nizam-e-qudrat
sath is tarah se de gardish-e-dauran apna
aashiq-e-zar pe rah rah ke nazar paDti hai
DhunDhti hai koi hamdam shab-e-hijran apna
ham-qafas jitne hain sayyaad se tharraate hain
kya kahun kis se kahun haal-e-pareshan apna
hum ne 'rasiKH' tere ustad ka dekha hai kalam
aaj ham-sar nahin rakhta wo suKHan-dan apna
ghair ki bazm ke muhtaj nahin hum 'rasiKH'
shad-o-abaad rahe kulba-e-ahzan apna
mai-kashi hai tere chehra se numayan 'rasiKH'
tu ne kya haal kiya hai ye meri jaan apna

Ghazal
Aa gaya zulf ke dam mein dil-e-nadan apna
Mohammad Yusuf Rasikh