asar zulf ka barmala ho gaya
balaon se mil kar bala ho gaya
Mirza Raza Barq
hath TuTen main ne gar chheDi hon zulfen aap ki
aap ke sar ki qasam baad-e-saba thi main na tha
Momin Khan Momin
uljha hai panw yar ka zulf-e-daraaz mein
lo aap apne dam mein sayyaad aa gaya
Momin Khan Momin
ek mera sar ki qadam-bosi ki hasrat is ko
ek teri zulf ki qadmon se lagi rahti hai
Mubarak Azimabadi
kuchh bikhri hui yaadon ke qisse bhi bahut the
kuchh us ne bhi baalon ko khula chhoD diya tha
Munawwar Rana
sarak kar aa gain zulfen jo in maKHmur aankhon tak
main ye samjha ki mai-KHane pe badli chhai jati hai
Nushur Wahidi
kabhi khole to kabhi zulf ko bikhrae hai
zindagi sham hai aur sham Dhali jae hai
Prem Warbartani