ai junun hath jo wo zulf na aai hoti
aah ne arsh ki zanjir hilai hoti
Goya Faqir Mohammad
gham-e-zamana teri zulmaten hi kya kam thin
ki baDh chale hain ab in gesuon ke bhi sae
Hafeez Hoshiarpuri
aap ki nazuk kamar par bojh paDta hai bahut
baDh chale hain had se gesu kuchh inhen kam kijiye
Haidar Ali Aatish
jo dekhte teri zanjir-e-zulf ka aalam
asir hone ki aazad aarzu karte
Haidar Ali Aatish
TuTen wo sar jis mein teri zulf ka sauda nahin
phuTen wo aankhen ki jin ko did ka lapka nahin
Haqeer
zulf-e-kalmunhi ko pyare itna bhi sar mat chaDha
be-mahaba munh pe tere panw karti hai daraaz
Hasrat Azimabadi
zulfon mein kiya qaid na abru se kiya qatl
tu ne to koi baat na mani mere dil ki
Imam Bakhsh Nasikh