aal apne us pari-ru ne sanware raat bhar
sanp loTe saikDon dil par hamare raat bha
Lala Madhav Ram Jauhar
arsat ka maza tere gesu dikha gae
aks aasman par jo paDa abr chha gae
Lala Madhav Ram Jauhar
munh par naqab-e-zard har ek zulf par gulal
holi ki sham hi to sahar hai basant ki
Lala Madhav Ram Jauhar
tasawwur zulf ka hai aur main hun
bala ka samna hai aur main hun
Lala Madhav Ram Jauhar
zulfen munh par hain munh hai zulfon mein
raat bhar subh sham din bhar hai
Lala Madhav Ram Jauhar
un ke gesu sanwarte jate hain
hadse hain guzarte jate hain
Mahesh Chandra Naqsh
hum hue tum hue ki 'mir' hue
us ki zulfon ke sab asir hue
whether me or you, or miir it may be
are prisoners of her tresses for eternity
Mir Taqi Mir