yun barasti hain tasawwur mein purani yaaden
jaise barsat ki rim-jhim mein saman hota hai
Qateel Shifai
us ki yaad aai hai sanso zara aahista chalo
dhaDkanon se bhi ibaadat mein KHalal paDta hai
Rahat Indori
han unhin logon se duniya mein shikayat hai hamein
han wahi log jo akasr hamein yaad aae hain
Rahi Masoom Raza
aaj kya lauTte lamhat mayassar aae
yaad tum apni inayat se baDh kar aae
Rajinder Manchanda Bani
Dhalegi sham jahan kuchh nazar na aaega
phir is ke baad bahut yaad ghar ki aaegi
Rajinder Manchanda Bani
udas sham ki yaadon bhari sulagti hawa
hamein phir aaj purane dayar le aai
Rajinder Manchanda Bani
aahaTen sun raha hun yaadon ki
aaj bhi apne intizar mein gum
Rasa Chughtai