dil dhaDakne ka sabab yaad aaya
wo teri yaad thi ab yaad aaya
Nasir Kazmi
din bhar to main duniya ke dhandon mein khoya raha
jab diwaron se dhup Dhali tum yaad aae
Nasir Kazmi
din guzara tha baDi mushkil se
phir tera wada-e-shab yaad aaya
Nasir Kazmi
is qadar roya hun teri yaad mein
aaine aankhon ke dhundle ho gae
Nasir Kazmi
tanhaiyan tumhaara pata puchhti rahin
shab-bhar tumhaari yaad ne sone nahin diya
Nasir Kazmi
wo koi dost tha achchhe dinon ka
jo pichhli raat se yaad aa raha hai
Nasir Kazmi
yaad aai wo pahli barish
jab tujhe ek nazar dekha tha
Nasir Kazmi