munh mein waiz ke bhi bhar aata hai pani aksar
jab kabhi tazkira-e-jam-e-sharab aata hai
Bekhud Dehlvi
apni jannat mujhe dikhla na saka tu waiz
kucha-e-yar mein chal dekh le jannat meri
Fani Badayuni
jawani ko bacha sakte to hain har dagh se waiz
magar aisi jawani ko jawani kaun kahta hai
Fani Badayuni
meri sharab ki tauba pe ja na ai waiz
nashe ki baat nahin e'tibar ke qabil
Hafeez Jaunpuri
gunahgar ke dil se na bach ke chal zahid
yahin kahin teri jannat bhi pai jati hai
Jigar Moradabadi
kidhar se barq chamakti hai dekhen ai waiz
main apna jam uThata hun tu kitab uTha
where does lightening strike, priest, let us look
I will raise my glass you raise your holy book
Jigar Moradabadi
sadaqat ho to dil sinon se khinchne lagte hain waiz
haqiqat KHud ko manwa leti hai mani nahin jati
Jigar Moradabadi